Islam Mein Waldain Ke Hukook Kiya Hain?

on Tuesday, January 8, 2013

Duniyavi rishton mein waldain aur aulad ka taluq sub se aham hai. Tamam rishtaydarian ya to baap ke taluq se hoti hain ya to phir maan ki taraf se hoti hain. Iz hi liye rishtaydar se sulooq bhi waldain se in ke taluq ki wajah se hota hai. Jitna kareeb ka rishta ho ga itna hi ziada who haseen  sulook ka mustahiq ho ga.

Waldain ke hukook se murad faraiz hain jo aulad par maan baap ki khidmat ke liye lazim hain. Farz ek tarhan ka bojh hai jisay utaray bagair insaan sukoon nahin pa sakta. Jitna taluq ziada hoga itna hi haq ziada ho ga. Iz liye hukook main waldain ka haq sub se phele hai.

Paida karna aur palna donon sifat Allah Ta’lah ki hain. Iz ne aulad k khatir ye sifat waldain ko ata ki hain. Izi liye Allah Ta’lah ne maan baap ko iz kadar buland maqam bakshah hai ke agar Allah Ta’lah ke baad koi kabilay ahtaram zaat hai toh who sirf waldain hain.

Qur’an shareef mein bhi Allah Ta’lah ne waldain ke hukook ko tamam dusray huqooq par faukiyat di hai.

Aur tum Allah Ta’lah ki ibadat karo aur iz ke saat kisi ko shareeq na therao aur apnay waldain ke saath naik sulook karo.

Surah Bakrah mein bhi waldain ki ahmiyat aur hukook ke baray mein bataya gaya hai.

Ay Nabi Salalahu Alayhi Wasalm keh dijiye ke jo maal tum kharch karo toh who waldian, rishtaydaroon, yatimoon, miskenoon, aur musafiroon par kharch karo.”

Aik aur jagah Qur’an mein famaya gaya hai ke:

Mera sukar ada karo aur apnay waldain ka bhi.”

Iz se zahir hota hai ke Allah tamam bandon se chahta hai ke who apnay maan baap ki izat karein aur unhein al’lah darja dein. Maan baap ka ahtaram buhat zaroori hai aur Allah Ta’lah un logon se khush hota hai so apnay waldain ka ahtaram kartay hain. Waldain ek aziz nemat hai Allah Ta’lah ki tarf se. Qur’an Shareef main waldain ka zikar kafi baar aya hai.

Agar in main se aik ya donon tumharay samnay burhapay ki umer ko pohnch jaien toh tum un ko uff tak na kaho aur na unhein jharko, aur un ke saath adab se baat karo.”

Allah Ta’lah ka huqm hai ke tamam insaan apnay waldain ki khidmat karien aur un ke hukook ada karien. Waldain taman zindagi apni aulad ke liye jido jehed kartay hain. Humein chahiye ke hum bhi hamray waldain ke liye ziada se ziada karien. Jo insaan apnay waldain ke hukook ada kar le ga, InshAllah uz ke liye Jannat mein Allah buhat al’lah muqam rakhay ga. Insaan ko puri kosish karni chahiye ke woh waldain ka adab aur ahtaram karay ta ke Allah ki raza hasil ho aur naikyon se woh insaan Jannat tak pohnch sakay.



View the
Original article

0 comments: