Pakistani qoum 2013 mai tabdeelion ki Muntazir

on Saturday, January 19, 2013

Pechly saalon ki tarah 2012 bhi guzar gaya. Jis nay Pakistan ki tareekh mai buhat say char chand lagaye jis mai mujh achi chezain kaam aur buri cheezain zyda dekhnay ko mili. Dahsaht gardi, wazarat ki jang hamary mulk ka aham hissa ban gai. Jis ko khatam karna muskil he nai balke na mumkin hu gaya hai. Lakin hamri hakumat ko e ski koi parwah nai hai sub ko wazarat ki kursi sambhalay bethay hain aur bechara ghareeb he piss raha hai. Loadshedding, gas petrol aur bills k maslon nay sub ki zindge ko nihayyat muskil mai daal diya hai… jis mai se niklna usi tarah se muskil hai jis tarah kisi daldaal se niklana. Hum es musebat se azaad usi waqt hu saktay hain jab hamari hakumat ehsas e zemedari se kaam karay.

2013, 1 January k phele he din subah sawaray yeh khabar sunay ko mili kay ab na sirf gas band milay ge balkay ghair ilaaniya mudat tak petrol milna bhi muskil hai… jaisa kay naya saal suroh hu chukka hai. Jab bhi naya saal ata hai tu logo ki umeedain bhar jatin hain ku yeh naya saal hamri zindgion mai bht se nayi cheezain lata hai. Pakistani shehri honay k natay hum sub ki yehe umeedain hai kay shayad anay wala naya saal humain musebaton say bacha sakay. Lakin dekha jai tu aisa kuch bhi nazar nai ata. Govermnet elections aur dhandli ki tyarion mai masroof hai.. lakin jaisa kay maine kaha k chahy kuch bhi hu jai insane jis marzi masail sey guzar raha hu who kabhi bhi umeed nai chorta. Tahir ul qadri kay long march say buhat sey logo ki umeedain wabasta hain. Allah karay kay yeh long march hamri zindge mai koi naya badlao lay eta k ghareeb mukhtalif pareshanion say azadi hasil kar sakay.

Es saal mai humain chahye kay hum apni zindgeion mai kuch badlaon laye…hum bhi es jurm mai shareek haib ager hum apni qoum k liye kuch nai kartay hum sirf apni hakumat ko ilzam nai day saktay ku k hum bhi hath pe hath dhar k bethay hain jo jo bilklul ghalat hain…hamaray Pakistan ko tabdeel hony ki buaht zaororat hai aur yeh sirf usi waqt hu sakta hai jab hum sub kisi mazhab k farq ko bhul kar yakjaa hu jain aur yeh the kr lain kay hamara aik he azaam hai tu mujh yaqeen hain k hum dobara se taraqi kar saktay hain. Hum muslim buhat taqat war hail akin afsos ki baat yeh hai k humain apni taqat ka bilkul bhi andaza nai hai… esliye humain chahye kay hum aik parcham talay ikhtay hu jain ta k hum apni qoum ko aik baar phir sanwar sakay aur Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah jaisa Pakistan bana sakian….



View the
Original article

0 comments: