Current Scanerio of Shahzeb Khan Murder Case

on Friday, January 18, 2013

25 December, 2012 ko aik aisa waqiya pesh aya jis nay bht se maaon ko pareshan kia. yeh waqiya aik masum 20 saala no jawan ka hai jis nay apni behan ki bezati na bardast ki aur jaan ki bazi day d.

25 December ki raat Shahzeb apni behan k valimay say wapis ja raha tha. Gari mai uski behan wali aur walida bhi mojood the. Kuch sharabi larkon nay jo k Nawab siraj talpur aur uska dost shahrukh jatoi aur usk kuch guards nay Shahzeb ki gari rok li aur uski behan ko chera jo Shahzeb say bardast nai huwa. Jis ki waja se Shahzeb nay un say mamoli se larai ki jis par usk walid DSP Aurangzeb nay es mislay ko hal karaya aur ghar ki taraf rawana hu gaye. Shahzeb nay apny dosto kay sath kahen tea penay jana tha. DSP aurnagzeb k mutabiq yeh mamla khatam hu gaya tha lakin woh nai janaty thay kay unkay betay k sath kia honay wala hai. Jab Shahzeb khan dosto ki taraf ja raha tha k talpur aur uskay dost sharukh nay Shahzeb per firing kar di aur Shahzeb apni jaan dey betha. aik interview mai Shahzeb k walid sahib nay kaha kay mai tu sub mamla hal karwa chukka tha phir ku meray masum bachay ko maar diya gaya?

Es waqiye nay sub nu jawanu ko jaga diya hai. Puray Pakistan mai aur London mai Shahzeb k liye relies nikali ja rahi hain jis mai government se insaaf ki ummed ki gai hai.. nai maloom kay Shahzeb khan ko insaaf milay gay a nai. Allah say dua hai Allah unk ghar walon ko hosla dain aur Shahzeb ko insaaf mil jai. Amen.

25, December 2012 aik aise tareekh hai jis nay humain hila kar rakh diya. Shahzeb khan shaheed aj aik aisa naam ban gaya jis ka zikar har akhbar har TV channel har family aur har facebook k page par zikar hu raha hai. Na sirf Shahzeb khan balkay aur bht say nu jawan hai jo roz beghair kisi waja kay apni jaan ki baazi laga detay hain. Jin k ghar walon ki insaaf dilwanay wala koi nai hai. Yeh nihayat he afsos naak baat hai k humari hakumat aisay maslon per ghour nai karte jis ki benah par bht se maayen apna jawan bachay kho rahi hai. Buhat say baap apny borhay kandhon pe jawan beton ki lashian utha raheen hain lakin akhir aisa kab tak chalay ga? Eska jawab denay wala koi nai. Koi nai jo maaon ko yeh tasali dila sakay k unk bachay jab subah ghar se niklain hain tu who ba hifaazat ghar wapis aa jain gay. Aisa kab tak huga?



View the
Original article

0 comments: