Ye piyar kia hota hay?

on Tuesday, January 1, 2013

Ye piyar kia hota hay

Dil nay ek din khud say ye sawal kia “Ye piyar kia hota hay?”

Ek ajab sa ehsas hay jisay biyan na kia kise zuban nay, suna tu ye bhi hay jab ye piyar hota hay to ankhen muskarati hay aur duniya rangeen nazar ati hay.

Piyar ek jazba hay kise shaks ko hasil karnay ka, usy apnay dil ke qareeba rakhnay ka. Piyar ek piayra sa ehsas hay jo duniya ko khubsurat bnata hay.

Piyar ki shuruwat us pehli nazar say hoti hay, wo ek khas nazar na jaany kaisy dil me utar jati hay. Nazrain tu hazaar milti hain din bhar mein mager koe ek nazar he dil ghahil kr jati hay.

Dil me paida hota hay ek anmol sa ehsas. Na jaany kiu koe pasand anay lagta hay….aur waqt jaisay thamsa jata hay. Jab insaan piyar krta hay tu bas phir piyar krta hay.

Humari movies mein piyar tab tak kamiyab nahin hota jabtak ye zalim duniya beech me na ajaye. Mager afsos is baat ka hota hay haqeeaqt me kise mein itna hosala he nahin ke is duniya ka samna her saktyn aur piyar piyar nahin rehta.

Piyar ka matlab khush krna hota hay us insan ko jisy hum dilsay pasand krty han. Mager ye piyar ansu he kiu leker ata hay? Kehty han kabhi kise ka dil piyar me nahin torna chaheye…mager jab piyar khud tuk jaye tu usy kon joray…

Piyar ek aisa jazba hay jo apnay mehboob ko panay ka naam hay, piyar me kuch sahi galat nahin hota aur piyar mein koe kiseko badalta bhi nahin hay. Ager apnay kisy say piyar kia tu usay piyar karo uski shaksiat say… na kay apni umeedon say. Aksar aisa hota hay ke piyar mein log dosron ko badalnay me lag jatay hay. Waisa bunana chaty hain jaisa unka dil krta hay. Mager shayid wo ye baat bhool jatay hain ke insan ko badlaty badlaty aksar dil bhi badal jaty han.

Duniya naam he piyar ka hay, ye duniya piyar pay he chalri hay. Jis lamhay piyar kum hota hay tu muskaan ghayab ho jati hay. Ankhein khali reh jati han aur Charon taraf ek khamoshi he sunai dyti hay. Duniya mein sabsy piyar krna chaheye.  Ghairoon say aur apnaon say kiu ke jo humsay piyar krty han wo aksar humara intazar krty han. Ager hum unko dhundny nikal paryn jinko hum piyar krtyn hain tu wo rishtay jo humsay jurayn hain beech rah me reh jatay han.

Piyar ek ehsas hay paanay ka lakin agr na pasako tu kia usy nafrat karo? Duniya say nafrat karo? Hargiz nahin… piyar karo kiu ke piyar hay, ye wada nahin piyar ka ke us insan say milaye ga jo dil me basta hay, piyar tu bas ek jazba hay najanay kab ruswa kr jaye ga.

Piyar karo achi umeed say, umeed ki kiran jagaye rakhna dil me kiu ke khuda bhi piyar krta jo dosron say piyar krtay hay. Ye piyar job bhi ho, mager jab hota hay tu samaj ati ke is jaisa ehsas aur koe nahin..

 



View the
Original article

0 comments: