Namaz Ki Fazilat o Ahmiayat

on Friday, January 4, 2013

Arbi zaban mein Namaz ko “salat” kehtay hain. Salat ke lagwi maini hain kisi cheez ke kareeb jana, parhna ya koshish karnay ke hain. Quran ki istilah mein “salat’ ke maini hain khuda ki taraf mun tawaja hona or kareeb se kareeb tar hona. Salat se murad ibadat hain jo Rasool Kareem (PBUH) ne apnay maksoos tarikay ke saath hamein sikhai hain.

Iman ke baad sub se phela amal jo zahir hai who namaz hai. Islam mein iz ka tasavur hi nahin ke koi apnay aap ko musalman kahay or namaz na parhta ho. Iz ki misaal yeh hai ke koi iskool jaye or uniform na phenay. Uniform yeh zahir karta hai ke ap kisi iskool ke talib ilm hain. Izi tarhan namaz yeh zahir karta hai ke aap musalman hain or aap ke iskool ka naam Islam hai. Yehi namaz Muslim or gair Muslim mein farq karti hai. Hamaray pyaray Nabi Kareem (PBUH) ne farmaya:

“Jis ne jaan boojh ke namaz tark ki iz ne kufr kiya”.

Musalmanoon ko apnay mazhab se mohabbat honi chahiye or unhein namaz parh ke fakhar mehsoos karna chahiye ke who aik Allah ko man nay walay hain. Kalma parhnay ke baad har musalman ka dil chahta hai ke who apnay Allah ke aagay jukhay or apni bandagi ka izhar karay.

Hum sub ko chahiye ke hum namaz ko shok se parhein. Iz se dil chahiye ga ke hum Allah ke ahkham aur bhi manain. Yani namaz yeh shok paida karti hai ke hum har mamlay main Allah aur Allah ke Rasool (PBUH) ki itlat karain or agar hum namaz main kotahi karain ge toh khudshah hai ke hum Allah ke baki ahkam manay mein bhi kotahi karienge. Iz liye humaray piyaray Nabi Muhammad (PBUH) ne farmaya:

“Namaz deen ka sutoon hai, jis ne namaz ko choora uz ne deen ko gira diya.”

Aik aur jagah Hazat Muhammad (PBUH) ne farmaya:

“Jis ne namaz ki hifazat ki aur iz ka pura pura haq ada kiya iz ne apnay deen ki hifazat ki aur jis ne apni namaz ko zaya kar diya who baqi cheezon ko aur ziada zaya kar de gaa.”

Chuna cha agar hum namaz nahin parhein ge toh shahid hum apna iman bhi kho deinge aur Allah ke bataye huay rastay se bhi bhatak jaienge. Iz liye hum sub ke chahiye ke hum namaz mein kotahi na karien. Iz se Allah bhi khush ho ga aur zindagi bhi achi guzaray gi!

About the author



View the Original article

0 comments: