Pakistan na 2012 ma bohat acha khelta hua takriban har khel ma dominate kia. Asia ma Pakistan na na sirf Asia cup jeeta, bilka Asian squash championship, Asian kabaddi, Asian hockey championship aur world snooker championship b jeeti. Asan lafzo ma 2012 ma Pakistan na Asia ma, aur kuch khelo ma puri dunya pa raaj kia.
Saal ka shuru ma Pakistan na 4 mulki Asian cricket cup jeet kr saal ka acha agaaz kia. Pakistan ma log Cricket ka deewna hain, aur Asia cup jeetna aur Sri Lanka aur bharat jaisi teamo ko harana asan na tha. Pakistan na England ko b 3-0 sa test series hara kr ya sabat kr dia tha ka Pakistan har format ma behtareen khel raha tha.
Hockey ma Pakistan pechla kuch salo sa khas acha khel nai paya tha, par jaisa he ek naya coach hire kia, tou Pakistan ki performance bohat ache ho gai. Phela champions’ trophy ma india ko hra kar 3 position hasil ki, aur phr uska bad Doha ma Asian champion trophy apna nam ki. Is sa saaf zahar hua, ka paksitan mazi ma hockey ka champion tha aur kuch mehnat kr ka wo dobara wo makaam hasil kr skta ha.
Pakistan na Asian Squash championship b jeeti aur ya bta dia ka hum bohat saalo tak Squash ka champion b raha. Pakistan na Asian Kabaddi Cup b jeeta aur in short sara khelo ma dominate kia. In sab cheezo sa ek aur bat zahir ho gai ka hum agar mehnat krain, tou hum ma itna potential ha ka hum puri dunya pa dominate kr skta hain.
Pakistan na na sirf Asia ma balka puri dunya ma khel ma improve kr ka dikhaya. Muhammad Asif na world snooker Championship jeet kr Paksitan ka lia aur ek azaaz hasil kia, aur ya hum sab ka lia nahayat fakhar ki baat ha.
Agar hum thora sa ghor krain tou huma pata chala ga ka pakistan na 2012 ma tariban haar khel ma ache performance dikhai. Government ko chahea humara players ko support kra, aur humara players ko chahea ka mehnat jari rakhain, in shaa ALLAH hum bohat aga ja skta hain.
View the Original article
0 comments:
Post a Comment