25, December 2012 aik aise tareekh hai jis nay humain hila kar rakh diya. Shahzeb khan shaheed aj aik aisa naam ban gaya jis ka zikar har akhbar har TV channel har family aur har facebook k page par zikar hu raha hai. Na sirf Shahzeb khan balkay aur bht say nu jawan hai jo roz beghair kisi waja kay apni jaan ki baazi laga detay hain. Jin k ghar walon ki insaaf dilwanay wala koi nai hai. Yeh nihayat he afsos naak baat hai k humari hakumat aisay maslon per ghour nai karte jis ki benah par bht se maayen apna jawan bachay kho rahi hai. Buhat say baap apny borhay kandhon pe jawan beton ki lashian utha raheen hain lakin akhir aisa kab tak chalay ga? Eska jawab denay wala koi nai. Koi nai jo maaon ko yeh tasali dila sakay k unk bachay jab subah ghar se niklain hain tu who ba hifaazat ghar wapis aa jain gay. Aisa kab tak huga?
View the Original article
0 comments:
Post a Comment